Importance of jupiter
Jupiter kundli me 2,5,9 and 11 bhav ke karak hote hain. 2nd place
related to basic needs 5th place related to marriage true love and
mermory. 9 th place related to dharm and sanskriti and sanskar jo child
ki parvarish ke dauran maata pitaa dwara ose sikhae jaate hain. And 11th
place related to greetings smmaan social iterations and income. jab
kundli me jupiter weak hota hai tab en sab cheezo ki kammi hoti hai. Ye
ek bhatkaav hai for example student ko nai
ptaa ke ose colg study me konse subject choose krne hain. Kisi jatak ko
nahi pta ke konsi field me vo apna best kr sakta hai. koi b kaam krna
ho aatma se awaaz nahi aati ke sahi faisla kya hona chahie. ye ek
bhatkaav hai jo kbi khtam nahi hota. Shukar and chandrma ke karn jatak
hmesha moh maya me pdaa rehta hai. Kbi study nahi ho rahi kbi job ni lag
rahi aur kbi ghar nahi bnn raha. Agr paisa aa b raha hai to vo
khushiyan nahi la raha rog aur losses me waste ho raha hai. En sab se
bachne ka sirf ek hi rasta hai vo hai guru. Guru ke sanidhya me jane se
sewa krne se aur anhkaae ka bhav tyag dene se gusse ka tyag krne se moh
ka tyag krne se guru jaldi hi kirpa krte hai. Kbi kbi der lagti hai
lekin chamtkaar hote zrur hain. jaise hum kisi person ko baar baar naam
se bulate hain tab ose mud kr dekhna hi padta hai ke muje kon bula raha
hai usi tra jab bhagwan ko ya guru ko baar baar simran se yaad kia jata
hai tab unhe b dekhna hi padta hai ke muje kon bula raha hai. Om
bhrespatye namah.....
Comments
Post a Comment